Girl biting her pencil
Categories:

Learn English Fast By Improving These 10 Mistakes!

“Hum pichle kuch mahino se apni English Improve karna chah rahe hai aur iske liye hum efforts bhi daalte hai, tab bhi hume kuch khas results nahi mil rahe. Samajh nahi aaraha hai ki how to exactly learn English fast?”

Agar aap bhi apne aap se aese hi kuch sawal kar rahe hai aur aapko samajh nahi aaraha hai ki kya hai vo reason jiske karan aapki English nahi sudhar pa rahi hai to aap chinta mat kariye, aaj hum aapse isi ke bare me baat karenge.

Apni in 10 common galtiyo ko sudhar ke hum English quickly learn kar sakte hai-

Reason 1:  Aap English ko real-world me use nahi kar rahe hai

Girls talking in English so that they can learn English fast

Sirf English sunna ya padhna hi kafi nahi hai balki uska real world ki alag-alag situations me use karna bhi bada zaruri hai. 

Agar aap English improve karne ke liye kafi cheeze kar rahe hai tab bhi koi jada fark nahi pad raha hai to ye hai ek reason jiske karan aapki English nahi sudhar pa rahi hai. 

Shayad aap logo ke samne english bolne me shy mehsoos karte ho. Ya aap galat English bolne se darte ho ki kahi log aapka mazak na banaye.

English quickly learn karne ke liye is mistake ko kaise sudhare?

Agar aap ko dar lagta hai ya aap shy feel karte hai English ka use karne me to aap-

  • Strangers se baat krne ke bajaye apne bilkul hi nazdeeki logo se hi English me baat kare. Isse aapko ye nahi lagega ki vo aapka mazak udaynge aur aap English ki practice bhi kar sakte hai. 

  • English likh kar english ko use karna shuru kare– English use karne ka matlab ye nahi hai ki aap sirf bol kar hi aesa kar sakte hai. Aap koi English checker app jaise ki Grammarly download karke English me likh kar bhi practice kar sakte hai. Ye app aapko batata hai ki aap kaha-kaha galtiya kar rahe hai. 

Real world me English use karne ke or tareeko ko janane ke liye yaha click kare! – Learn English quickly by adopting these meathods!

Reason 2: Aap words ka context nahi samajh rahe hai

Girl using laptop and thinking

Aapko ye to pata hi hoga ki English improve karne ke liye vocabulary ke words ko yaad rakhna kitna zaruri hai. 

Lekin ek important reason jiske karan aapki English nahi sudhar rahi hai vo ye bhi ho sakta hai ki aap English ke words ka context nahi samajh rahe hai. Matlab aap words ka meaning to jaan jate hai lekin ye nahi samajh pate ki konse situations me unko use kiya ja sakta hai. Ya fir ek word ko hi kitne alag-alag situation me use kiya ja sakta hai.

Jaise ki– Tie ka matlab hota hai “kisi cheez ko aapas me bandhana” 

Jaise: Tie your shoelaces. 

Lekin tie to ek “clothing item bhi hota hai” jisko hum neck me pehnte hai.

Jaise: Wear a matching tie.

English quickly learn karne ke liye ye mistake kaise sudhare?

  • Jab aap words ko learn kare to uske sath hi sath ek nazar uske different uses me bhi daal le.

  • Aap aisa kaise kar sakte hai? 

Examples dekh ke. Observe kare ki us words ko examples me kis tarah se use kiya gaya hai. Jisse aapko uska context samajh me aayega.

Reason 3: Aap grammer par shuru me hi bahut jada focus kar rahe hai

Boy obsessing over grammar to learn English fast.

English grammer ke rules shuruwaat me kafi confusing lg sakte hai, jiski vajah se humko English se dar lagne lagta hai. 

Hum sochte hai ki “jitne log English bolte hai ya jitne logo ki fluent english hai un sabko ache se English grammer aati hai” 

Isliye hum bhi English grammer pe shuru me hi bahut jada focus karne lagte hai, jiski vajah se hum english improve karne ki journey ko beech me hi dar kar chor dete hai.

English quickly learn karne ke liye ye mistake kaise sudhare?

Yaad rakhe ki-

  • Jaise-jaise aap sentences frame karne lagenge aur aapki spoken english sahi hogi vaise-vaise aapko apne aap english grammer ke kayi rules aajaynge. Isliye na banaye isko aesa reason jiske karan aapki English sudhar nahi pa rahi hai.

  • Native speakers bhi English grammar ke sare rules nahi jante, to kya unko english nahi aati?

Reason 4: Aap grammar par bilkul bhi dhyan nahi de rahe hai

Grammar books to learn English quickly

Jaise aapne upar dekha ki log English isliye nahi improve kar pate ki vo bahut jada hi english grammer par dhyan dene lagte hai, uska ulta bhi utna hi bada ek reason hai. 

Kuch log English grammer ki taraf bilkul bhi nazar nahi ghumate, jiski vajah se unko basic ya surface level cheeze samajhne me bhi dikkat hoti hai.

Basic cheeze jaise- is/am/are, was/were etc. Ka use na jan pana ki kaha hota hai. 

Agar aapko yahi nhi pata hoga to aap sentence formation kaise seekhenge? To ye bhi ek important reason hai jiske karan aapki English nahi sudhar pa rahi hai.

English quickly learn karne ke liye ye mistake kaise sudhare?

  • English grammer ke advance level pe na jake bdi hi basic level par rahe. Yani ki shuruaat me aese hi cheezo par dhyan de jo ki ekdum zaruri hai sentence formation ke liye.

  • Vo kathin bhi nahi hoti aur humko intimidate ya darati bhi nhi hai.

Reason 5: Aap revision ko importance nahi dete hai

Girl studying to learn English fast at home.

Researches me paya gaya hai ki koi bhi cheez yaad karne ya padhne ke 1 din baad vo humko sirf aadhi, yani ki 50% hi yaad rehti hai. 

Aur jaise-jaise din beet te jate hai vaise-vaise vo hamari memory se aur bhi jada dhundhli hoti jati hai. 

Cheeze bhul jana bhi hai ek bahut bada reason jiske karan aapki English sudhar nahi pa rahi hai.

English quickly learn karne ke liye ye mistake kaise sudhare?

  • Har 2-3 din me jo aapne padha ho usko ek nazar aur dekh le. 

  • Cheezo ko regularly revise karne ki ek habit bana le.

  • Revision karne me 2-3 din se jyada ka gap na rakhe.

Reason 6: Aap English learn karne ke liye apne bahut zaruri kaamo ko ignore kar rahe hai

Boy sitting in bench reading an English book

Kya kabhi aesa hua hai ki aapko English improve krna itna important laga ho ki aapne apne baki zaruri kaamo ko hi nazar andaaz karna shuru kar diya ho? 

Jaise ki aapki padhai, apka work, aapki family, apki health etc.?

To bas samajh lijiye ki yahi hai vo reason jiske karan aapki English nahi sudhar pa rahi hai! 

Kaise? 

Aesa karne se, agar hum English improve karne ke liye kafi mehnat kar bhi rahe hai, tab bhi hamara unconcious mind unhi dusri important cheezo ke bare me hi worry karta rehta hai, jiski vajah se hum English improve karne ko undivided attention nahi de pate hai. 

English quickly learn karne ke liye ye mistake kaise sudhare?

  • Balance. Har cheezo ko balance karke chale. English improve krna ek task nahi hai, ye ek process hai. Ye aapki ek deencharya honi chahiye na ki ek end result. 

  • Aap ye soche ki aap kaise english learn karna ya improve karna apne baki kamo ke sath jod sakte hai. Iske liye kuch suggestions-

  1. English news sune.
  2. Apne subjects ki books english me padhe. 
  3. English gaane sune. 
  4. English me baat kare etc. 

Reason 7: Aap procrastination ki bimari se bahar nahi aa pa rahe hai

Girl sleeping and procrastinating tasks.

Procrastination ka matlab hota hai cheezo ko talna. Ye sochna ki hum ye kaam baad me kar lenge. 

Jis tarah aap baaki cheezo ko procrastinate karte hai vaise hi iski vajah se aap apne English learn karne vali activities ko bhi procrastinate karte honge. Jo ban jata hai ek aur reason jiske karan aapki English sudhar nahi pa rahi hai.

Har kaam me consistency honi chahiye. Aur procrastinate karne ki vajah se consistency nahi maintain ho pati. 

English quickly learn karne ke liye ye mistake kaise sudhare?

  • Procrastination ki bimari ko dur karne ke liye aap apni habits me kayi tarah ke badlav la sakte hai. 

Procrastination se peecha kaise chudaye, ye janane ke liye yaha click kare.

Reason 8: Aap english bolte samay bahut hadbada jate hai

Girl calming herself before communicating in English.

“Jaldi ka kaam, saitaan ka kaam hota hai” is saying ki bare me to aap logo ne suna hi hoga! Koi bhi kaam hadbadi me karne se uske results utne ache nahi aapate hai. 

Sayad aap bhi english bolte time ya english improve karne ki jo activities hai unhe perform karte time kafi hadbadi karte hai jiski vajah se aapki progress upar jane ke bajaye ek jagah par atak gayi hai and aap apni English sudhar nahi pa rahe hai.

English quickly learn karne ke liye ye mistake kaise sudhare?

  • Jaise ki humne upar baat kari ki english improve karna koi task nahi hai ye ek journey hai. Isko hadbadi me na krke dhairya ke sath kare. 

  • Agar aap english bol rahe hai to 3 se 5 sec ka break leke calm hoke bole. 

  • Aap apni English improve karne vali activities ko bhi enjoy karna shuru kare usme hadbadaye nahi. Kuch aesi activities chune jisko karne me aapko maza aaye.  

Reason 9: Aap consistency maintain nahi kar pa rahe hai

Planner to organize things in order to learn English fast.

Kisi bhi cheez ko successfully achieve karne ke liye hamara consistent rehna bada zaruri hota hai. Aesehi agar hum English improve karne ke liye consistently steps nhi le rahe hai to fir hamare English improve hona thoda mushkil hai.

Consistent na rehne ka matlab jaise ki aapne monday ko kuch grammer ke rules padhe fir thursday ya saturday ko vocabulary ke kuch words pdh liye fir 3-4 din ka gap liya,  fir ye gap badh ke 2 hafto ka hogaya. Aesehi dheere-dheere cheeze hona band ho gyi.

Consistency maintain na kar pane ke bade sare reasons hote hai-

  • Procrastination (jiske bare me humne upar bat kari)
  • English sudharne ke bare me serious na ho pana.
  • Galat tarah se planning karna. etc.

Ye bhi hai ek bada reason jiske karan aapki English nahi sudhar pa rahi hai.

English quickly learn karne ke liye is mistake ko kaise sudhare?

  • Ek schedule banaye, jisme aap ye include kare ki apko kab kya padhna hai aur kitni der ke liye. 

  • Light schedule banaye, usko jada hectic na rakhe. 

  • Consistency maintain krne ke liye apna task successfully complete karne ke baad khud ko reward de, jaise ki apna fav. serial dekhle, ya fir apna fav. game khel le etc. 

Lekin! Srf tabhi jab aap apna kaam complete kar chuke ho.

Reason 10: English improve karne ke liye ya English learn karne ke liye aapke paas saaf game plan nahi hai

Diary and pen on the table to make clear plans.

Koi bhi kaam karne ka pehla step hota hai “planning” chahe hum kitne bhi chote kaam ke bare me baat kare ya kitni hi bade kaam ke bare me baat kare. Planning har jagah important hoti hai. 

Lekin kya aapne English improve karne ki is journey par chalne se pehle planning kari? Kya aapke pas pura game plan hai?

Agar nahi, to samajh lijiye ki yahi hai vo reason jiske karan aapki English sudhar nahi pa rahi hai.

Consistent efforts ke sath hi sath humko structured efforts bhi karne chahiye jiske liye proper planning ki zarurat hoti hai.

English quickly learn karne ke liye ye mistake kaise sudhare?

Planning kaise kare? (In brief)

Step 1: Sabse pehle vo sari activities likhiye jisme aap comfortable hai English improve karne ke liye.

Step 2: Fir un activities ko chote chote bhago me batiye.

Step 3: Fir un chote-chote bhago ko karne ka din aur samay decide kariye.

Aese hi kayi sare aur bhi reasons hai jo alag-alag logo ke liye alag-alag hote hai kyuki unki situations different hoti hai. Yeh hai kuch aese common reason jiske karan aapki English sudhar nahi pa rahi hai. Inko dhyan me rakhne ke sath hi sath aap apne individual mistakes par bhi dhyan de, fir apki English improve karne ki journey aur bhi aasan ho jayegi.