Aaj lagbag 1.5 billion log, English bhasha ka use karte hai. Aise mein English learn karne ka bahut fayda hai. Jab puri duniya mein English itni zyaada use hoti ho, toh uske kuch common phrases ko bolne ke naye tarike faydemand hote hai. Aaj hum sikhenge ki kaise English ke kuch common conversation phrases ko alag alag ways mein bol sakte hai.
Jab baat naye tarike sikhne ki ho hi rahi hai, toh kyu na pehle ye jaan le ki phrases ke alag tarike sikhne se aapko kya laabh hoga. Agar aap kisi native English speaker ko sunenge toh aapko pata chalega ki wo kaise ek hi phrases ko alag alag ways mein bolte hai.
Naye-naye tariko se phrases bolne ka sabse zaruri reason ye hai ki isse aapki English Vocabulary mein naye words add on hote hai. Aur English speaking mein ye baat bahut mahatvapoon hai. Jitne zyaada naye words aap sikhenge, utni hi zyaada aapki English improve hogi.
Dusra reason hai samne wale par apna ek acha impression dalna. Jab aap different tarike se koi common conversation phrase ko bolenge samne wale insaan ko lagega ki aapki English language mein pakad achi hai. Sirf ye hi nahi aapke andar English speaking ke liye confidence build hoga. Aap bina nervous hue English bol payenge.
Kya kabhi aapne Google assistant ya Siri ka use kiya hai? Agar haan! Toh aapko pata hoga ki wo bhi conversation phrases ko har baar alag-alag ways mein use karte hai. Jaise aapne koi sawal pucha jiska jawab ‘Yes’ ho. Uska answer Siri har baar ‘yes’ nahi bolegi. Wo ‘Yes’ ki jagah ‘I can indeed’ ya ‘ I am happy to help you’ jaise phrases ka use karegi.
Aise ek hi conversation phrase ko alag-alag dhang se use karne ke piche ek hi main reason hai- aap fluently aur confidence se english bol pate hai. Niche bataya gaya hai ki kaise kuch aise daily use hone wale phrases ko kaise aap alag way mein bol sakte hai.
English sikhne ki shuruaat mein kuch basic phrases sikhae jate hai, jinmein se ek hota hai ‘Thank You’. But kya aapko lagta hai ki har situation mein yehi phrase use karna chahiye? Bahut saare aise sentences hote hai jo aap situation ke according Thank You ki jagah bol sakte hai. Toh aaiye jante hai wo kon se sentence iss word ko replace kar sakte hai.
Casual form mein Thank you kaise bole
Sr. No. | Phrases | Meaning |
1 | Thanks! | Dhanyawad |
2 | Thank you so much | Bahut bahut dhanyawad |
3 | Thanks a million | Bahut-bahut dhanyawad |
Example: aap apne birthday par thank you bol bol kar thak jate hoge. Toh aap upar diye gaye phrases mein se koi bhi phrase ka use karke thank you bol sakte hai. Jaise ‘Thank you so much for your wishes’ ya fir ‘ Thanks a million’.
Jab koi aapke liye kuch kare tab Thank you ki jagah niche diye gaye phrases use kare
Sr. No. | Phrases | Meaning |
1 | That’s very kind of You | Aapki bahut bahut kripa hai |
2 | I don’t know what to say! | Mujhe samajh nahi aarha main kaise aapko shukriya karu. |
3 | You made my day | Aapne mera din bana diya |
4 | How thoughtful of you! | Aap kitne vichaarasheel hai |
Jab kabhi bhi aisa ho ki apke kisi friend,ya collegauge ne kaam mein aapki help kii ho tab aap niche bataye phrases ka use karke usse thank you bol sakte hai.
Sr. No. | Phrases | Meaning |
1 | I couldn’t have done it without you | Main tumhare bina ye nahi kar sakta tha |
2 | I really appreciate for everything that you have done | Main vastav mein aapke dwara kiye gaye har kaam ke liye saraahana karta hun |
3 | I am really grateful for your help | Main aapki madad ke liye vastav mein aabhaari hun |
4 | This means alot to me | Ye mere liye bahut maayane rakhta hai |
5 | Thank you for your guidance | Aapke margdarshan ke liye dhanyawad |
Upar bataye gaye 12 phrase ka matlab ek hi hai ‘Thank You’. But har ek phrase alag situation mein use karke aap confident feel kar sakte hai.
Hum sab jante hai ki jab koi aapke liye kuch acha kare ya aapki madad kare,tab usse Thank you bolna chahiye. Lekin kya aap jante hai ki “Welcome” ya “You’re Welcome” sirf ek hi tarika nahi hai thank you ka jawab dene ke liye. Niche welcome ko alag alag dhang se kaise bol sakte hai ye bataya gaya hai.
Sr. No. | Phrases | Meaning |
1 | Not a Problem | Koi baat nahi |
2 | No worries | Koi chinta nahi |
3 | My pleasure | Mujhe saubhagya prapt hua |
4 | I am happy to help | Tumhari sahayata karke mujhe khushi hui – iska use tab kare jab apne kisi ki help ki thi aur usne aapko thank you bola hai. |
5 | Anytime | Anytime ka general matlab hota hai kabhi bhi. Issi koi thank you se relate karenge toh iska matlab hota- main tumhari help ke liye hamesha tyaar hoon. |
Example: aapne kisi ki samaan uthane mein help ki hai aur usne aapko thank you bola hai. Toh aap uska jawab denge ‘I am happy to help you’.
Usually, hum sab Kisi ko birthday wish sirf Happy Birthday bol kar hi karte hai. But socho iski jagah jab aap kuch aur creative phrase ka use karenge toh samne wale ko kitna acha lagega. Bas issi mein aapki help ke liye humne kuch aise creative conversation phrases niche table mein bataye hai jo aap algi baar kisi ko birthday wish karne ke liye use kar sakte hai.
Sr. No. | Phrases | Meaning |
1 | A million magic wishes to you! | Dher saari shubhakaamnaen |
2 | A remarkable year to come! | Aane wala saal aapke liye yaadagar rahe. |
3 | May this day be as special as you are | Yeh din aapke liye utna hi khass rahe jitne khas aap hai. |
4 | Many more days, months, and years to come for you. | Aapke liye aane wale kai din, mahine aur saal ache beete |
5 | Wishing you a day that is overflowing with happiness | Meri shubhakaamnaen hai ki aapka din khushiyo se bhara rahe |
Example: jab bhi aapko apne dost ya kisi ko bhi wish karna ho toh upar diye gae phrases mein se kisi bhi phrase ka use kar sakte hai. Jaise ‘ Wish you a day that is overflowing with happiness my dear friend’. Inke elawa aur bahut saare tarike hai jo happy birthday ki jagah aap bol sakte hai.
Hello ek bahut hi common tarika hai kisi se baat chit shuru karne ka. Badalte waqt ke saath har chiz ke naye tarike aa gaye hai. Waise hi ab aap Hello bhi alag alag phrases ka use karte hua bol sakte hai. Aise hi kuch tarike nich batae gaye hai.
Sr. No. | Phrases | Meaning |
1 | Hi there | namaste! |
2 | Howdy | Kaise ho? |
3 | Hey, What’s up? | Kya haal chal hai? |
4 | Long time no see | Bahut samay ho gaya mile. |
5 | How’s it going? | Sab kaisa chal raha hai? |
Example: hum usually hey ya hello ka use karte hue dusro se baat karte hai. But aisa mana gaya hai inn sab ka matlab bhi kisi ko greet karna hi hota hai. Jaise ‘ Hey Rads! Long time no see’. Iska matlab hai hello rads, kafi waqt ho gaya hume mile.
Jab bhi koi aapse puchta hai ‘How are you’? Aur aapko bolna ho ki aap theek ho. Toh normally hum jawab dete hai ki I am fine. But ab aap iski jagah niche diye gaye conversation phrases mein se kisi bhi phrase ka use kar sakte hai.
Sr. No. | Phrases | Meaning |
1 | Very well, thanks | Bahut acha |
2 | Fit as a fiddle | Ye ek slang ka jiska matlab hota hai, bahut acche svaasth mein. |
3 | I feel great/ Marvellous/ Wonderful | Mujhe bahut acha lag raha hai |
4 | Doing really well! | Iss phrase ka basic meaning hai ki main life mein acha kar raha hun. |
5 | Much Better now! | Abhi mujhe acha lag raha hai. Iska use tab kare jab aap pehle bimar the aur ab behtar feel kar rahe hai. |
6 | I am on Cloud Nine! | Main khushi ke maare aasamaan mein udd raha hun. |
7 | Pretty good | Kafi acha |
8 | I am in good spirits | Yeh bhi ek common slang hai, jiska matlab hota hai ache mood mein hoon. |
Example: jab bhi aap bahut ache mood mein ho toh aapko bolna chahiye, ‘ I am in good spirits” ya fir ‘I am feeling wonderful’.
Kabhi-kabhi sirf Good Morning kehna kafi nahi hota. Iski jagah aap kuch different conversation phrases ka bhi use kar sakte. Unn mein kuch niche bataye gaye hai.
Sr. No. | Phrases | Meaning |
1 | Good day to you | Aapka din acha ho. |
2 | What a pleasant morning we are having. | Aaj kitna khoobsurat din hai. |
3 | Rise and shine! | Ye phrase ka use kisi ko neend se uthate waqt kiya jata hai. Jiska basic matlab hai, utho aur apne kaam mein jut jao. |
4 | Top of the morning to you! | Tumhare liye subah shubh ho. |
5 | Have a great day. | Tumhara din shaandaar gujare. |
Example: Hey! Wishing you a great day ahead. Ye ek basic example hai kisi ko subah greet karne ka.
Ye wo 3 magical words hai, jinhe sun ka koi bhi khush hoga aur speacial feel karega. Inn words ko aur special banae ke liye aap kuch alag conversation phrases ka use bhi kar sakte hai. Jaise:
Sr. No. | Phrases | Meaning |
1 | I adore you | Main tumhe bahut pasand karta hoon. |
2 | I am in love with you | Main tumse pyaar karta hoon. |
3 | I have totally fallen for you. | Main tumhe pasand karne laga hoon. Ye phrase mainly tab use kare jab aap kisi ko abhi pasand karne lage ho, pyaar nahi. |
4 | We are a good match. | Hum ek dusre ke liye bane hai. |
5 | You mean so much to me. | Tum mere liye sab kuch ho. |
6 | You complete me. | Tum mujhe poora karte ho. |
Example: aap abhi kisi ko sirf pasand karna shuru hue ho, toh aap usse bol sakte hai ‘I have fallen for you’.
Jab bhi kisi ko miloge toh haal chal toh puchoge hi. Aise mein aap kon kon se phrases ka use kar sakte hai wo niche bataye gaye hai.
Sr. No. | Phrases | Meaning |
1 | How are you doing? | Aap kaise hai? |
2 | How’s everything? | Sab kaisa chal raha hai? |
3 | What’s going on? | Kya chal raha hai? |
4 | What’s up? | Kya ho raha hai? |
5 | How are you feeling? | Aap kaisa mehsoos kar rahe hai? |
6 | What’s good in the hood? | Ye ek slang hai jiska matlab hai ki kya sab theek hai? Ye slang ka use bahut kam kiya jata hai. |
Example: pehle 2 phrases bahut hi common conversation phrases hai. Inka use aap formal way mein bhi kar sakte hai. Jab aap kisi dost se puchna chah rahe ho unka haal chal tab aap bol sakte hai, “What’s up?”.
Koi galti karne par sorry bolna bahut achi baat hai. But agar aap wahi sorry ko kuch different way mein bolenge toh ho sakta hai, samne wale ko samajh aaye ki aap saach mein maafi mang rahe hai. Aaiye jante hai ki kon-kon se alag ways hai Sorry bolne ke.
Sr. No. | Phrases | Meaning |
1 | I apologize | Main shama mangta hoon. |
2 | I hope you can forgive me. | Mujhe umeed hai tum mujhe maaf kar doge. |
3 | Pardon me* | Mujhe maaf kardo. |
4 | I was wrong on that. | Main uss baat par galat tha. |
5 | I was wrong. Can you forgive me? | Main galat tha. Kya tum mujhe maaf kar doge? |
*Sirf pardon shabd ka use tab kiya jata hai jab aapko samne wali ki baat samajh nahi aaie aur aap chahte hai wo repeat kare. Wahi “Pardon me” ka matlab hota hai mujhe maaf kardo. Toh aap dhyaan se situation ke hissab se iss word ka use kijiyega.
Example: jab bhi aapse koi galti ho jae toh I am sorry ki jagah aap bol sakte hai, ‘I apologize’. Dono ka matlab same hai. But different way use karne se aapka impression acha padega samne wale par.
Har saal ke last day par hum sabko Happy New Year se wish karte hai. Magar kya yehi ek dhang hai new year ki shubhkaamnaen dene ka? Jab bhi baat wish karne ki aati hai toh aise bahut se ways hote hai wishes convey karne ke. Unn mein se kuch niche table mein bataye gaye hai.
Sr. No. | Phrases | Meaning |
1 | Wish you a happy new year | Nav varsh ki haardik shubhkaamanaayen. |
2 | May the coming year bring success to you. | Aane wala saal aapke liye safalta lekar aaye. |
3 | Let the year ahead be the where your dreams come true | Aane wala varsh aapke sapne poore kare. |
4 | Have a beautiful year ahead | Asha hai aage ek sundar varsh ho. |
Example: New Year wish karte samay aap upar diye gae phrases mein se koi bhi 2 phrase ek saath bhi use ka sakte hai. Jaise ‘ Wish you a Happy New Year. May the coming year bring success and happiness to you’.
Suppose kijiye aapke kisi dost ki naukari lag gai hai. Toh aap usse Congratulations bolenge? Ya aapki behen ki shaadi pakki ho gayi hai. Tab bhi aap usse Congratulations bolenge? But iss article ko padne ke baad aapke paas alag-alag sentence honge kisi ko bhi congratulate karne ke liye.
Sr. No. | Phrases | Meaning |
1. | Kudos! | Waise toh ye ek greek word hai. Lekin aaj kal iss word ka use English mein bhi kiya jata hai.Iska matlab hai ki tum ye deserve karte ho. |
2. | Congrats! | Ye congratulations ki short form hai, jiska matlab hai badhai ho. |
3. | I am really happy for you. | Main tumhare liye bahut khush hun. |
4. | Well Done! | Tumne bahut acha kaam kiya. |
5. | I am Impressed | Main aapse prabhavit hun. |
Example: jab aapka koi dost ya colleague bataye ki usne finally apna project khatam kar diya hai ya usse ek naya project offer hua hai. Tab aap usse bol sakte hai, ‘Hey! Kudos!’.
Har ache kaam se pehle kisi ko wish karna, usse aur motivate kar deta hai apne kaam ki taraf. Aise hi niche kuch phrases diye gaye hai, jo unhe Good luck wish karne ke liye aap use kar sakte hai.
Sr. No. | Phrases |
1 | All the best! |
2 | Best of luck! |
3 | Wishing you lots of luck! |
4 | May the luck be in your favour! |
5 | I am pretty confident that you will do well. |
Inn sabhi phrases ka matalab ek hi hota hai,‘Shubhkamnayein dena’.Aap inhe alag alag jagah use kar sakte hai.
Example: aapka chota bhai exam dene ja raha hai. Aap usse Good luck ki jagah bol sakte hai, ‘ I am pretty confident that you will do well’. Iska matlab hai mujhe vishwas hai ki tum exam mein acha karoge.
Kai baar sirf goodbye kehna hi kaafi nahi hota. Kuch aur shabdo ka prayog karke aap ek alag dhang se kisi ko alwida keh sakte hai. Aaiye jante hai kuch aise phrases.
Sr. No. | Phrases | Meaning |
1 | See you soon | Fir jald hi milenge |
2 | Have a good day | Aapka din shubh ho. |
3 | It was nice to see you | Aapse mil kar acha laga. |
4 | Catch you later | Baad mein milta hun. |
5 | I gotta go! | Mujhe abhi jana padega.Ye ek English slang hai jo aaj kal bahut zaayda use kiya jata hai. |
Example: aapko apne dost ko bye bolna hai, toh aap simply upar diye gaye koi bhi phrase ka use kar sakte hai. Jaise ‘See you soon’ ya for ‘I gotta go, catch you later’.
Toh yeh sab the kuch alag tarike wahi common Conversation phrases ko bolne ke. Aap jaldi se inn phrases ko apni roz ki conversation mein use kijiye. Aur fir dekhiye kaise aapki English improve hogi. Iski ke saath log aapse impress bhi honge.
Agar aap soch rahe hai ki English bolna kaise sikhe toh ye blog aapke saare…
"Hum pichle kuch mahino se apni English Improve karna chah rahe hai aur iske liye…
Is article mai hum aapko batayenge ki how important it is to think in English.…
Aaj hum kuch English mai kuch aisi common mistakes ki baat karenge jo easily avoid…
Hum sab har samay habits ki baat karte hai, ki good habits rakho toh life…